Showing posts with label poem. Show all posts
Showing posts with label poem. Show all posts

Tuesday, February 7, 2012

...... Aur pyaar ho gaya


Tanha si thi yeh raahein, mila hai humsafar kuch yun.
Chalna hai tere sang, haatho main haath, gaate hue nayi dhun.

Socha na tha kuch aise din bhi aayenge,
raaton ko neend nahi, din main bus woh nazar aayenge.

Pyaar ki hai yeh kahaani, ban gayi zindagi suhaani.
Ab to hogi dhoop bhi sunhari aur chaaon roomani.

Dil bhi gaane laga hai geet naya, dhadkanen sargam nayi,
Aur pyaar ho gaya, raho hamesha meri palako par saji saji.



...... और प्यार हो गया

तन्हा सी थी ये राहें, मिला है हमसफर कुछ यूँ,
चलना है तेरे संग, हाथो में हाथ, गाते हुए नयी धुन|

सोचा ना था कुछ ऐसे दिन भी आएँगे,
रातों को नींद नही, दिन में बस वो नज़र आएँगे|

प्यार की है ये कहानी, बन गयी ज़िंदगी सुहानी,
अब तो होगी धूप भी सुनहरी और छाँव रूमानी|

दिल भी गाने लगा है गीत नया, धड़कनें सरगम नयी,
और प्यार हो गया, रहो हमेशा मेरी पलको पर सजी सजी|



Wednesday, November 30, 2011

Abhivaadan

Woh saare dukh bane sukh mere,
woh aasoon bhi bane hasi meri,
Yeh daaman tera, bane dharti meri,
aur yeh aanchal, aasmaan se bada.

Tu hi kamzori meri, aur tu hi shakti meri,
saath hum dono dekhkar, vipatti bhi dare.
Chalta chalu, nirantar chalta hi chalu,
banke hamsafar, jo tu hamesha baju chale.

Sooraj failaye hai apni yeh bahein,
yeh dhoop se hai sunhara vatavaran.
Pavan ka halka halka shor jaise ho swar,
aur yeh paani kal kal jaise nayi dhun.

Kuch is tarah ho ab do se ek hum,
aur tham jaye yeh pal yahin ekdum.
Ho is navjeevan ki shuruaat duaaon se,
aa thame haath, aur kare
    abhivaadan, abhivaadan, abhivaadan …

Sunday, September 4, 2011

Yeh Kaisi Ladai !!!


Mere dost, yeh aisi bhi kya ladai hai,
kabhi tu aur kabhi teri parchai hai.
Zindagi chalti ja rahi hai yunhi aage,
keval haar hi hai ya jeet bhi payi hai.

Uth zara dekh, sooraj to aata hai rozaana,
Bahut mushkil hai yun to kinaron ko mil jana.
Tu hai agar sachcha, aur tera marg acha,
Kadam choomengi tere manzilein yeh pakka.

Rakh apne par tu yeh vishwaas,
Aur zindagi main kuch paane ki aas.
Kehne de logo ko jo kuch kehna hai,
Ek din samajh hi lenge tere yeh khaas.

Kyun tune bus ladne ki hi thaani hai,
lehro se ulte hi jana yeh manmaani hai,
kab jiyega apni zindagi tu hokar beparwah,
yeh duniya to aise hi, aise hi aani-jaani hai.

Na ho tu udaas aur na ho to yun pareshaan,
Raasta chuna hai jo tune, yeh nahi aasaan.
Par woh din dur nahi, lehre hogi teri humsafar,
aur mit jayenge mushkilon ne naamo-nishaan.

Monday, January 17, 2011

Zara Zara Sa

Suraj abhi kuch der pehle dooba tha,
Thoda andhiyara sa bhi lagta tha,
Sar jo humne uthaya aur,
yeh aankhein bhi thodi ghumai.


To yeh taaron ka gulistaan tha,
aur ek ujala sa chandrama tha,
dur dur tak khula aasmaan tha,
kshitiz  bhi aaj to ruka tha.


woh aankhein bhi apni thi,
aur woh samaa bhi apna sa,
phir bhi kuch adhoora sa tha,
haathon main uska haath na tha.


aankhein thi num, aur gala bhara sa,
yaadon main tha woh thoda ghula sa.
palkon to humne kiya thoda jhuka sa,
aur deedar hua uska zara zara sa.

Monday, November 15, 2010

Jaadon ki sardi aur kunkuna sa paani


Woh Jaadon ki sardi aur kunkuna sa paani,
Teri meri, meri teri, phir woh kahaani.

Woh aag ke kinare raat main chai ki chuskiyaan,
Meri teri, teri meri, dooriyon main woh siskiyan.

Woh baadalon ki chaadar aur ye palakon ki zameen,
Meri teri, Teri meri, hamari yeh duniya hui rangeen.


Woh garmi ki loo, aur suraj ki tapish,
Teri meri, meri teri, apni yeh kashish.

Woh baraf ka pighalna, woh kohra aur dhuan,
Tera mera, mera tera, yeh pyaar hai phir hua.

Woh neele aasmaan main chaand ki athkheliyan,
Teri meri, meri teri chup chup kyun rangraliyaan.


Saundhi si khooshboo, Baarish ki pehli boond,
Tene maine, maine tene, apni aankhen moond.

Woh baarish ka mausam, bheegi si raatein,
Teri meri, meri teri, pyaari si hain baatein.

Woh baadal ki garaj aur paani ki tap tap,
Teri meri, meri teri roomani si gup shup.

Woh koyal ki kuhu, woh tota aur woh maina,
Tere mere, mere tere, batiyaye apne naina.


Wednesday, October 27, 2010

Ek Din


Ek din sapnon main kuch aisi baarish hogi,
Pahaadon ko cheerati ek chanchal nadi hogi,
Hawaon main soundhi-soundhi si mehek hogi,
Kisi shaam kuch aise unse mulakaat hogi.

Yeh nazarein ek baar phir se betaab hogi,
Saanse roomani, dhadkanon main dhun hogi.
Yeh dil gayega, geet main unki hi baat hogi,
Dhoop to hai hi, narm chaon bhi sunhari hogi.

Woh saral hogi, mann main komalta hogi,
Julfein jo lehrayengi to bus raat hogi.
woh muskura jaye to kaliyan phool hogi,
Hase to baadal garaje, aur varsha hogi.

Jab milegi nazarein unse, to yun to khamoshi hogi,
Hoth chup, aankhon hi aankhon main baatein hogi.
Hum kuch kahein na kahein, aawaz hamari un tak hogi,
Hum unke dil aur woh hamare nazar-o-dil main hogi.

Rahoon main phir se phool honge, kaliyaan hogi,
Patjhad ke baad phir se suhaani vasant ritu hogi.
Sang khelenge holi, phir se zindagi rangeen hogi,
Deepak main phir jyoti, aakash main aatishbaazi hogi.

Friday, October 8, 2010

Jeene Ki Arzoo



After "Har Lamhe Bus Pal Do Pal Ke", phir se kuch mann hua
us pari ke baarein thodi baatein aur kar li jaayein, to bus yun hi -
 

Har raat sapno main aati hai, kuch aisi baatein kar jati hai,
So jata hoon mithason main, lekin subah to phir ho jati hai.
Mar to gaye hi the hum, usne phir se nayi jaan dal di hai,
kuch aisa amrit diya hai, jeene ke sahi arzoo ab pa lee hai.

Mayne badal gaye hai zindagi ke, kuch sahi hai, baaki sahi ho jayenge,
socha na tha, zindagi ke mod kabhi kahaan kabhi kahaan le jayenge.
Hum khush rehne ka vada karte hain, khushi khushi sab seh jayenge,
Aap bus yunhi gungunate rehna, dhun to saath main hum dete jayenge.

Woh kehti hai kyun nahi bulaya sapno main mujhe pehle,
Main kehta hoon neend kahan thi inn aakhon main akele.
Kabhi dard ka ehsaas tha to kabhi kisi ko khone ka darr,
Ab aa gaye ho to rehna inn aakhon main yunhi ujale ujale.

Nahi jaanta hoon main ki yeh duniya mil payegi tumse kabhi,
Ek pyaari dost jiski aakhon main hai chupi baatein badi badi.
O Pari, Sach to yahi tumhare kaaran mili yeh zindagi nayi,
Iss dosti ko nazar na lage, khuda se maangte yahi dua abhi.

Thursday, October 7, 2010

Har Lamhe Bus Pal Do Pal Ke


Jab us pari ne "Ruhaani si mehek" padha,
aur usne apni khushi ki jaahir,

Maine likh di phir kuch aur panktiyan,
kuch is tarah ban gayi woh meri prerna.


Pari hai ya hai woh ek sadharan insaan,
Dost to thi woh meri kabse, ab dost-e-khaas.

Yeh saara padhkar ho gayi woh bhi hairan,
Sochi, itne keemati hai uske yeh sab nishaan.


Lagi woh jhoomne, gaane, chikhne aur chillane,
Zameen kya falak tak bhi nahi the uske thikane.

Paro pe kaboo na raha, udd gayi door gagan main,
Fitoor tha yeh uska, le aayi bahaar chaman main.


Usne sikhaya kaise udte hain aasmaan main bin paro ke,
Aur ye bhi sikha maine ki kaise haste hai bin adharo ke.

Ashqon main bhi swaad hota hai jab girte hain gaalon pe,
Hamesha muskurate rehna, har lamhe bus pal do pal ke.


Tasavvur main hai woh, mere khwabon-khayalon main,
Khumari hai ab ya kuch iss tarah hi zindagi ki dagar hai.

Uth bhi jaye parda uski asliyat se to kuch khabar hai,
Uski woh baatein mere dil main ab shaam-o-seher hai.


Log puchte hain mujhse ki batao hai kaun yeh haseen pari,
Main kehta hoon sabse ki jaan jaoge aane do woh ghadi.

Rehne do parde main abhi, achi lag rahi hai woh chupi chupi,
Kya kaafi nahi hai itna, mere dil-e-nazar main hai woh basi.


Wednesday, October 6, 2010

Rang - "Lamhe - The moment of Colours"

Rang main ada, rang main hai Khuda,
Rango ki baatein hai sabse judaa.
Rang de mujhko tu, sang main apne ko tu.
Rang de duniya ko, iss pure jahan ko tu.

Rang se hai zindagi, rang se hi bandagi.
Rangeen yeh mausam hai, rangeen yeh dillagi.
Dukh main bhi hai rang, sukh main bhi rang rang,
Chala chal tu jeevan main, chale rang tere sang sang.

Rang se hai Rangoli, mast rangeen yeh Diwali,
Rang se hai rishte-naatein, rang se hi kheli Holi.
Rang se dil milte hai, dil main phool khilte hai,
Phoolo se bani mala, phoolo se hai ban-maali.

Rang ka na koi dharam, na jaati, aur na hi koi bhasha hai,
Bhar de zindagi main khushi, rang ki yeh paribhasha hai.
Sab rang mil jaye to indra-dhanush ban jata hai,
Rang main mil khil kar manush poora ho jata hai.

Rang main ada, rang main hai Khuda,
Rango ki baatein hai sabse judaa.
Rang de mujhko tu, sang main apne ko tu.
Rang de duniya ko, iss pure jahan ko tu.

Tuesday, October 5, 2010

Ruhaani si Mehek


Pari ek mere sapno main aayi,
Aakar ek nayi raah usne dikhayi.
Kuch ruhaani si mehek thi usme,
Jeene ki kuch alag si chaahat thi usme.

- Woh shabdo ke roop main jo barse phool, kuch yun kehna tha uska -
Nadi hoon main, pari hoon main, pahad hai, pathar bhi hai rahon main,
Ek din to saagar main mil jana hai, magar aade-tedhe kinaro ka maza to uthana hai.

Din hai to raat to hogi hi, andhera jaayaz hai,
Raat to guzar jana hai, dard-e-ehsaas reh jana hai.
Aur naye din, sooraj ki pehli kiran ka intezar hai,
Magar is raat ki chubhan main bhi kuch mithaas hai.

- Woh phool jab lage mann ko mere, aaya samajh main kuch yun mujhe -
Har ek din ek nayi shuruaat hai, yeh andhera to chand palon ki baat hai.
Ek pari aur kuch farishte hi nahi, yeh khoobsoorat duniya mere saath hai.

- Usne phir farmaya kuch is tarah -
Kisi din jab ek sunhari dhoop main baithe sochoge tum,
Yeh raatein, yeh andhere, aur yeh ehsaas, karoge yaad tum.
Inhi raaton ne nikhara hai, aur dinon ne khilaya hai tumhe,
Bus bhool na jana unko, mushkilon main sambhala hai tumhe.

Hum bhi hai, safar bhi hai, dariya hai, paani bhi hai, aage to jana hai.
Leharo ko kaatate chalo, kinare tak yunhi koi humsufar bhi mil jana hai.
Pyaar to bus dene ka naam hai, pyaar ki aas rakhna khud se bemani hai,
Pa lo tum jo chaho to mauj hai, nahi to rab ne kuch aur thaani hai.

- Aur phir main samjha kuch yun -
Tere swar bane saans meri, aur shabd bane muskurahat meri,
Mere dard ko usne apne andaaz se banaya khilkhilahat meri.
Khoobsoorat duniya ko de naye rang tu, kuch is tarah zindagi jee teri,
O pari, mor-pankhon si hai shobha, koyal si hai chah-chahat teri.