Showing posts with label angel. Show all posts
Showing posts with label angel. Show all posts
Thursday, October 7, 2010
Har Lamhe Bus Pal Do Pal Ke
Jab us pari ne "Ruhaani si mehek" padha,
aur usne apni khushi ki jaahir,
Maine likh di phir kuch aur panktiyan,
kuch is tarah ban gayi woh meri prerna.
Pari hai ya hai woh ek sadharan insaan,
Dost to thi woh meri kabse, ab dost-e-khaas.
Yeh saara padhkar ho gayi woh bhi hairan,
Sochi, itne keemati hai uske yeh sab nishaan.
Lagi woh jhoomne, gaane, chikhne aur chillane,
Zameen kya falak tak bhi nahi the uske thikane.
Paro pe kaboo na raha, udd gayi door gagan main,
Fitoor tha yeh uska, le aayi bahaar chaman main.
Usne sikhaya kaise udte hain aasmaan main bin paro ke,
Aur ye bhi sikha maine ki kaise haste hai bin adharo ke.
Ashqon main bhi swaad hota hai jab girte hain gaalon pe,
Hamesha muskurate rehna, har lamhe bus pal do pal ke.
Tasavvur main hai woh, mere khwabon-khayalon main,
Khumari hai ab ya kuch iss tarah hi zindagi ki dagar hai.
Uth bhi jaye parda uski asliyat se to kuch khabar hai,
Uski woh baatein mere dil main ab shaam-o-seher hai.
Log puchte hain mujhse ki batao hai kaun yeh haseen pari,
Main kehta hoon sabse ki jaan jaoge aane do woh ghadi.
Rehne do parde main abhi, achi lag rahi hai woh chupi chupi,
Kya kaafi nahi hai itna, mere dil-e-nazar main hai woh basi.
Tuesday, October 5, 2010
Ruhaani si Mehek
Pari ek mere sapno main aayi,
Aakar ek nayi raah usne dikhayi.
Kuch ruhaani si mehek thi usme,
Jeene ki kuch alag si chaahat thi usme.
- Woh shabdo ke roop main jo barse phool, kuch yun kehna tha uska -
Nadi hoon main, pari hoon main, pahad hai, pathar bhi hai rahon main,
Ek din to saagar main mil jana hai, magar aade-tedhe kinaro ka maza to uthana hai.
Din hai to raat to hogi hi, andhera jaayaz hai,
Raat to guzar jana hai, dard-e-ehsaas reh jana hai.
Aur naye din, sooraj ki pehli kiran ka intezar hai,
Magar is raat ki chubhan main bhi kuch mithaas hai.
- Woh phool jab lage mann ko mere, aaya samajh main kuch yun mujhe -
Har ek din ek nayi shuruaat hai, yeh andhera to chand palon ki baat hai.
Ek pari aur kuch farishte hi nahi, yeh khoobsoorat duniya mere saath hai.
- Usne phir farmaya kuch is tarah -
Kisi din jab ek sunhari dhoop main baithe sochoge tum,
Yeh raatein, yeh andhere, aur yeh ehsaas, karoge yaad tum.
Inhi raaton ne nikhara hai, aur dinon ne khilaya hai tumhe,
Bus bhool na jana unko, mushkilon main sambhala hai tumhe.
Hum bhi hai, safar bhi hai, dariya hai, paani bhi hai, aage to jana hai.
Leharo ko kaatate chalo, kinare tak yunhi koi humsufar bhi mil jana hai.
Pyaar to bus dene ka naam hai, pyaar ki aas rakhna khud se bemani hai,
Pa lo tum jo chaho to mauj hai, nahi to rab ne kuch aur thaani hai.
- Aur phir main samjha kuch yun -
Tere swar bane saans meri, aur shabd bane muskurahat meri,
Mere dard ko usne apne andaaz se banaya khilkhilahat meri.
Khoobsoorat duniya ko de naye rang tu, kuch is tarah zindagi jee teri,
O pari, mor-pankhon si hai shobha, koyal si hai chah-chahat teri.
Subscribe to:
Posts (Atom)