Pari ek mere sapno main aayi,
Aakar ek nayi raah usne dikhayi.
Kuch ruhaani si mehek thi usme,
Jeene ki kuch alag si chaahat thi usme.
- Woh shabdo ke roop main jo barse phool, kuch yun kehna tha uska -
Nadi hoon main, pari hoon main, pahad hai, pathar bhi hai rahon main,
Ek din to saagar main mil jana hai, magar aade-tedhe kinaro ka maza to uthana hai.
Din hai to raat to hogi hi, andhera jaayaz hai,
Raat to guzar jana hai, dard-e-ehsaas reh jana hai.
Aur naye din, sooraj ki pehli kiran ka intezar hai,
Magar is raat ki chubhan main bhi kuch mithaas hai.
- Woh phool jab lage mann ko mere, aaya samajh main kuch yun mujhe -
Har ek din ek nayi shuruaat hai, yeh andhera to chand palon ki baat hai.
Ek pari aur kuch farishte hi nahi, yeh khoobsoorat duniya mere saath hai.
- Usne phir farmaya kuch is tarah -
Kisi din jab ek sunhari dhoop main baithe sochoge tum,
Yeh raatein, yeh andhere, aur yeh ehsaas, karoge yaad tum.
Inhi raaton ne nikhara hai, aur dinon ne khilaya hai tumhe,
Bus bhool na jana unko, mushkilon main sambhala hai tumhe.
Hum bhi hai, safar bhi hai, dariya hai, paani bhi hai, aage to jana hai.
Leharo ko kaatate chalo, kinare tak yunhi koi humsufar bhi mil jana hai.
Pyaar to bus dene ka naam hai, pyaar ki aas rakhna khud se bemani hai,
Pa lo tum jo chaho to mauj hai, nahi to rab ne kuch aur thaani hai.
- Aur phir main samjha kuch yun -
Tere swar bane saans meri, aur shabd bane muskurahat meri,
Mere dard ko usne apne andaaz se banaya khilkhilahat meri.
Khoobsoorat duniya ko de naye rang tu, kuch is tarah zindagi jee teri,
O pari, mor-pankhon si hai shobha, koyal si hai chah-chahat teri.
3 comments:
aandhi maharaj.. :)
_/\_
paagal kavi ki paagal daastaan :)
kya baat hai ...
asar ye kya ho chala hai tumpar,
gazal ke saath ja baiithe ho;
yaadon mein naya rang bharkar,
puraani suron mein jiye ja rahe ho;
badho ab yun, ki phir se abhi,
safar mein nayi rahein mili ho;
shuru hone ko hai ek aur silsila,
subhah ko jaise nayi dhoop mili ho;
Post a Comment