Wednesday, October 27, 2010

Ek Din


Ek din sapnon main kuch aisi baarish hogi,
Pahaadon ko cheerati ek chanchal nadi hogi,
Hawaon main soundhi-soundhi si mehek hogi,
Kisi shaam kuch aise unse mulakaat hogi.

Yeh nazarein ek baar phir se betaab hogi,
Saanse roomani, dhadkanon main dhun hogi.
Yeh dil gayega, geet main unki hi baat hogi,
Dhoop to hai hi, narm chaon bhi sunhari hogi.

Woh saral hogi, mann main komalta hogi,
Julfein jo lehrayengi to bus raat hogi.
woh muskura jaye to kaliyan phool hogi,
Hase to baadal garaje, aur varsha hogi.

Jab milegi nazarein unse, to yun to khamoshi hogi,
Hoth chup, aankhon hi aankhon main baatein hogi.
Hum kuch kahein na kahein, aawaz hamari un tak hogi,
Hum unke dil aur woh hamare nazar-o-dil main hogi.

Rahoon main phir se phool honge, kaliyaan hogi,
Patjhad ke baad phir se suhaani vasant ritu hogi.
Sang khelenge holi, phir se zindagi rangeen hogi,
Deepak main phir jyoti, aakash main aatishbaazi hogi.

3 comments:

Pooja said...

Rocking bhaiya....lekin "Deepak main phir jyoti"...pehle bhi koi jyoti thi kya...bataya nahi aapne ;)

Neha Nahata said...

Kya baat hai... very nice :D
looks like the fragrance of spring has dawned upon u... Keep writing... v love reading :D:D:D

Deepak Vijayvergiy said...

@Pooja: Thank you :-)

@Neha: Thanks :-)
Yes, its all around :-)